Pahaad Kyun Chad Rahe Ho?

Ek Kavita - Kahani...meri Zubani...

Pahaad Kyun Chad Rahe Ho?


Ek insaan Pahaad Chad raha tha,
Use dekh doosra insaan bola,

"yeh pahaad kyun chad rahe ho?"

Pehle ne kuch nahi bola.

Doosre insaan ne phir poocha,
"arey yeh pahaad kyun chad rahe ho?"

Pehle ne ab bhi kuch nahi bola,
aur pahad chadne laga.

doosre ko poochte dekh, teesra, chautha aur panchwa bhi waha a gaye aur sabne poocha,
"kya ho raha he yaha?"

Dusre ne bataya, dekho pehla, pahaad chad raha he,
lekin pocho kyun? to kuch nahi keh raha he.

ab dusre, teesre, chauthe aur panchwe ne ek saath awaz uthai aur poocha,

"yeh pahaad kyun chad rahe ho?"


Goonj utha sama is sawaal se to pehle ko laga ab bata dena chahiye,

to pehla bola, 

"Pahaad ke Chonti se Nazara Dekhne ke liye!"

neche khade sabne bola, "utar aao neeche, gir jaoge!"

pehle ne kaha,

"chadne do mujhe, gir gaya to koi baat nahi,
yeh to khed nahi hoga ki koshish nahi ki."

neche khade sabne bola, "arey mar jaoge!"

Pehle ne kaha,

"ese zinda rehkar, marke jeene se acha,
koshish karke, Chunautiyon se ladke, marna mein he."

neeche khade sabne kaha,

"kaha tak chad paoge? abhi to thoda sa hi chade ho, Thak jaoge, ajao utarke, iska koi fayda nahi."

Pehle ne kaha,

"chonti tak chadunga, jab tak na phnchu tab tak badhunga,
thak gaya to aram kar lunga, leking asani se haar nahi maanunga,
iska fayda he ki nahi yeh mein samjha nahi sakta,
leking tumhe jaan na he to khud chadke dekho pahaad,
kisi ne tumhe roka nahi, na hath paer baandhe hai!
hai himmat to a jao mere sath! sath pahaad chadte hai"

Sannata cha gaya neeche, Phir ek aawaz ayi.

"kya intezar karein tumahara? kya aoge kabhi"

pehle ne kaha,

"Intezar kar sakte ho to karna..kabhi na kabhi milunga mein!
ya to bikhar jaunga zameen pe ya chonti se goonje ki meri awaaz!"

pehla chadta raha, baaki neeche dekhte rahe,
kuch aur dekhne aa gaye kuch dekh ke chale gaye.

koi ninda karta, koi kami nikalta,
to koi himmat badhata, josh dekar utsah banata.

koi chai ki redi laga gaya, koi samaan bechne laga.
kisi ne nashta pani parosna shuru kar diya.

pehla chadta raha, akele badta raha...

a gayi woh ghadi jab akhri padhav paar karna tha,
muskhil to thi lekin isme se bhi guzarna tha.

jo chale gaye they ab woh bhi wapas a gaye,
bheed ka thikana na tha sabhi jaane aa gaye.

Neeche khade sabki aankein upar tiki thi,
saanse thami aur dhadkane ruk gayi thi.
kuch nahi pata chal raha ab aage kya ho jaye,
milegi choti ya neeche gir jaye.

Kisi ne shamshaan tyar kar liya, kisi ne jaloos.
kisi ne duawein mangni shuru kar di,
to kisi ne maan liya ki woh he mehfoos.

Lagai challaang, laadh ke seena,
chooka ek hath, nikal gaya paseena.

Himmat abhi haari nahi thi, phir lagaya doosra haath.
laga di poori jaan, akhir ban hi gayi baat,

Phnch hi gaya pehla, pahad ki choti par,
nazara bada suhana tha, khush ho gaya dil uska, yeh dekh kar.

Le li saans, jee bharke usne, yahi to use paana tha,
sapno ka nazaara, haqeeqat mein dekhne yahin to use ana tha

Poora hua uska mukaam, Usne kaamyaabi haasil karli thi,
Aur mudke dekha jab usne to bheed neeche intezar mein khadi thi.

aawaz ayi sabki ek sath neeche se, Nazara kaisa he?
usne daali rassi neeche, aur kaha ajao upar, khud hi dekhlo ki

Yeh nazara Aisa he!

yeh vyang he humari society pe ki hum kaun he aur hum kya kar rahe he, asha karta hu apko yeh kahani - kavita pasand ayi hogi

Jickson V George
Artist

Comments